Aqwal-E-Zareen

Bacha dunya mein

Bacha Duniya Mein Sirf Ek Hi Hunar Lekar Aata Hai
Woh Hai "Rona" bacha ro ro kar Apni Maa Se har Baat
Manwa Leta Hai' magar kitne bad naseeb hun ge hum log,
agar hum ro ro kar uss rab se apne 'gunaho'n ki bakhshish
na karwa sake jo ek maa se satar gunah zyada mohabbat
humse karta hai.....
'Aqwal e zareen'
urdu islamic aqwal e zareen,sunehri batain facebook

Andhere mein hi chamakte hain

Masaa'ib se mat ghabrao kyonke sitare hamesha
andhere mein hi chamakte hain...
'Urdu aqwal-e-zareen'
hazrat ali aqwal-e-zareen, urdu aqwale zareen

Rooh ki giza aur zindagi

Allah ke Aeemaan k sath sabar sehat mandi ka baa'is hai
wo kabhi bhi mutmain aur qaane nahi ho sakta jo
hajat-t-zindagi k ilawa bhi doosri cheezon ki hirs rakhe
Rooh ki giza aur zindagi sirf hikmat mein hai...
( Hazrat Idrees A.S )
'islamic Aqwal-e-zareen'
islamic aqwal-e-zareen, urdu achi baatein

Uss din par Aansoo baha

Uss din par Aansoo baha jo teri umar se
kam ho gaya aur uss mein neki na thi..
Hazrat abu bakar siddique R-A
'Islamic Urdu Aqwale zareen'
islamic urdu aqwal-e-zareen in urdu

Dunya ki sab se badi daulat

Jo shakhs rookhi sookhi kha kar bhi mutmain rehta hai
wo sabse zyada daulat mand hai....
kyonke itmenaan hi dunya ki sab se baDi daulat hai
'Urdu Aqwal-e-zareen'
aqwal e zareen facebook, urdu aqwal

insan amal se pehchana jata hai

Behtreen insan amal se pehchana jata hai
achi batain to burey log bhi kia karte hain
'Aqwal-e-zareen'
islamic urdu aqwale zareen

Sakhi khuda ka dost hai

Sakhi khuda ka dost hai chahey fasiq ho
bakheel khuda ka dushman hai chahey zahid ho
'Aqwale zareen'
aqwal e zareen

Khud ko Akhlaqi tor par

Khud ko Akhlaqi tor par sanwarney mein
Itna waqt zaroor surf karo ke tumhain
Doosron par tanqeed karne ki fursat na mile..
'urdu aqwal e zareen'
aqwal e zareen

khamoshi dana ka zewar hai

Khamosh insan khamosh pani ki tarah gehrey hote
hain khamoshi ek raaz hai aur har sahib-e-israar
khamosh rehna pasand karta hai khamoshi dana ka
zewar hai
 aur aehmaq ka bharam...
'Aqwal e zareen in urdu'
urdu aqwale zareen

Doosron ko be-sukoon karne wala

Doosron ko be-sukoon karne wala
kabhi sukoon nahi paa sakta....
'Aqwal-e-zareen'
aqwal e zareen
Aqwal-e-zareen

Allah ke aagey jhuk jaye

Toba naam hi apni galti ko manne ka hai
wo shakhs azeem hai jo apni galti ko man
le aur allah ke aagey jhuk jaye......
'Aqwal zareen in urdu'
aqwal zareen in urdu

Zindagi ko zaroorat mein rakho

Zindagi ko zaroorat mein rakho Khwahishat ki
taraf na le jao zaroorat faqeeron ki bhi poori hoti
hai aur Khwahishat badshahon ki bhi baqi reh jati hain.....
'Islamic aqwal e zareen'
aqwal e zareen in urdu

Sabar se rehmat ka intezar kar

sabar se rehmat ka intezar kar jo chee tere liye hai
tere liye hi hai or der hikmat par mabni hoti hai...
'Aqwal e Zareen in urdu'
islamic aqwal e zareen in urdu

khushi ki dua

Rab kehta hai,Kisi ko takleef de kar Mujh se Khushi ki
dua
 mat karna lekin Agar kisi ko ek pal ki Khushi dete ho
to Apni takleef ki fikar mat karna....
'Aqwal e zareen in urdu'
aqwal e zareen

Tumhare nafs ki tarbiyat ke liye

Tumhare nafs ki tarbiyat ke liye Itna kaafi hai ke
Tum un cheezon se doori ikhtiyar karo jo tumhain
Doosron mein buri lagti hain...
'urdu aqwal e zareen'
aqwal e zareen

Aap ke dost kon hain

Jab aap urooj par hote hain to Aap ke doston
ko pata chalta hai ke aap kon hain aur jab aap
zawal par hote hain to aap ko pata chalta hai
ke aap ke dost kon hain
'Aqwale zareen in urdu'
 
جب آپ عروج پر ہوتے ہیں تو آپ کے
دوستوں کو پتہ چلتا ہے کہ آپ کون ہیں۔
اور جب آپ زوال پر ہوتے ہیں تو آپ کو
پتہ چلتا ہے کہ آپ کے دوست کون ہیں۔
(سنہری باتیں-اقوالِ زریں)

Mayoosi ek dhoop hai

Mayoosi ek dhoop hai jo sakht se sakht
wajud ko bhi jala kr raakh kar deta hai..
۔۔۔۔ Shaikh saadi R-A۔۔۔۔
'Anmol aqwal e zareen'



مایوسی ایک دھوپ ہے جو سخت سے سخت
وجود کو بھی جلا کر راکھ کر دیتی ہے۔۔۔۔
 شیخ سعدی اقوالِ زریں

Aansuon ka jari na hona

Aansuon ka jari na hona dil ki sakhti ki wajja se hai
Dil ki sakhti gunahon ki kasrat ki wajja se hai
Gunahon ki kasrat maut ko bhoolne ki wajja se hai
Maut se gaflat lambi umeedon ki wajja se hai
Lambi umeedain dunya se mohabbat ki wajja se hai
Aur Dunya ki mohabbat har gunah ki jaR hai
'Islamic Aqwal-e-zareen'

آنسوؤں کا جاری نہ ہونا دل کی سختی کی وجہ سے ہے
دل کی سختی گناہوں کی کثرت کی وجہ سے ہے
گناہوں کی کثرت موت کو بھولنے کی وجہ سے ہے
موت سے غفلت لمبی امیدوں کی وجہ سے ہے
لمبی امیدیں دنیا سے محبت کی وجہ سے ہے
اور دنیا کی محبت ہر گناہ کی جڑ ہے۔۔۔۔
(سنہری باتیں-اقوالِ زریں)

Apne rab ki marzi ki zindagi guzaro

Agar janat mein apni marzi ki zindagi
guzarna chahte ho to iss dunya mein
apne rab ki marzi ki zindagi guzaro..
'islamic quotes in urdu'



اگر جنت میں اپنی مرضی کی زندگی گزارنا
چاہتے ہو تو اس دنیا میں اپنے رب کی مرضی کی
زندگی گزارو۔۔۔
سنہری باتیں-اقوالِ زریں

Kisi ka dil mat dukhao

Kisi ka dil mat dukhao uske
Aansoo tumhare liye saza ban
sakte hain...
'Islamic Aqwal-e-zareen in urdu'
کسی کا دل مت دکھاؤ اس کےآنسو
تمھہارے لیے سزا بن سکتے ہیں
(اردواقوالِ زریں-سنہری باتیں)

khushi mein badal jati hai

Pareshani khamosh rehne se kam
Sabar karne se khatam Aur Shukar
karne se khushi mein badal
jati hai
.....
'anmol aqwal-e-zareen'
anmol moti, aqwale zareen facebook

Gurba ka tumhare paas Aana

Hajat mand gurba ka tumhare paas Aana
khudaye paak ka inaam hai...
Hazarat Usman Ghani R.A
'Aqwal-e-zareen'
 hazrat usman ghaniR.A aqwal e zareen, islamic aqwal

Zindagi azeez hoti hai

Zindagi har shakhs ko azeez hoti hai
Lekin bahadur Aadmi k liye Izat zindagi
se bhi zyada azeez hai...!
"Sunehre batain"
anmol baaten,sunehre moti, achi batain facebook

zakhm kabhi nahi bharte

Lafzon ke daant nahi hote magar
ye kaaT lete hainAur agar ye
kaaT len to un ke 'zakhm kabhi
nahi bharte'....
'Danayi ki batain'
anmol moti, sunehri batain, danai ki baaten facebook

Log pyar k liye hote hain

Log pyar k liye hote hain aur cheezein istemaal
k liye, baat tab bigaRti hai jab cheezon se pyar
kya jaye aur logon ko istemaal kya jaye...
"Hazrat ali R.A Aqwal-e-zareen"
hazrat ali islamic aqwal-e-zareen,aqwal-e-zareen in urdu

saya unhein ke raste par padta hai

Jo log apne chiraghoN ko pas-e-pusht rakhte hai
unka saya unhein ke raste par padta hai...
'Sunehri anmol moti'
,achi batain, sunehri batain facebook, aqwal e zareen

Ache bure log

Ache log bhens 'ki manind hote hain' jo sookhi
ghas kha kar bhi qeemti dudh deti hai,jabke bure
log saanp 'ki tarah hote hain' jo 'meeTha dudh pi
kar'bhi Dus lete hai.....
'Danayi ki batain, Achi batain'
danayi ki batain, aqwal-e-zareen, anmol moti

2 Comments

  1. WHat about this?
    http://mushiiiweb.com/category/aqwal-e-zareen/aqwal-e-zareen-in-urdu/

    ReplyDelete
  2. aqwal e zareen in urdu are golden words change life in a positive way to introduce a new journy.

    ReplyDelete